Dost ho tum, kuch kahoon&tum sai?
ke aaj dil mera bohat udaas hai
na janey kiya ghum sama raha hai
aur roney ko dil chaah raha hey
ke ansoo thamney ka naam na lein
kisi khushi ka payaam naa laain
ye shairi nahi, dil ka ranj o ghum hey
ziyada hosala kum hey
aik toofan sa merey dil mein hey
jo aanssoown ka ghubaar bun ker
aankhon sai ab nikalna chahta hey
magar na janey kiyun habs sa hey
daroon-e-dil ki fiza mein chaya ....... ..(daroon-e-dil = dil key ander)
jo aansoown ko mein rok loon tou!
na janey dil ka phir haal kiya ho
na janey dil ka sawal kiya ho
aur merey ghum ki misaal kiya ho&
Tou phir&, kiya suno gai tum?
Meray under kai dukh!!& ranj o ghum.

